aaj ki raat yaad aaegi
aaj kī raat yaad aa.egī
ek ik baat yaad aa.egī
chāñdnī meñ baham niyāz-o-nāz
ye mulāqāt yaad aa.egī
chand lamhoñ kī sohbat-e-rangīñ
aksar auqāt yaad aa.egī
ishq ko apnī sādgī ke saath
husn kī ghaat yaad aa.egī
dil kī har buuñd ban ga.ī chhālā
ab ke barsāt yaad aa.egī
un se zikr-e-vafā jo chal niklā
baat par baat yaad aa.egī
sub.h-e-rafta meñ bhī 'adīb' hameñ
shām-e-naġhmāt yaad aa.egī
aaj ki raat yaad aaegi
ek ek baat yaad aaegi
chandni mein baham niyaz-o-naz
ye mulaqat yaad aaegi
chand lamhon ki sohbat-e-rangin
aksar auqat yaad aaegi
ishq ko apni sadgi ke sath
husn ki ghat yaad aaegi
dil ki har bund ban gai chhaala
ab ke barsat yaad aaegi
un se zikr-e-wafa jo chal nikla
baat par baat yaad aaegi
subh-e-rafta mein bhi 'adib' hamein
sham-e-naghmat yaad aaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.