aaj kuchh andesha-e-sarsar nahin
aaj kuchh andesha-e-sarsar nahīñ
ab koī ham meñ shikasta-par nahīñ
sāmne shīshe to haiñ lākhoñ magar
aaj apne haath meñ patthar nahīñ
phuul zaḳhmoñ ke khile haiñ jā-ba-jā
ye to mere shahr kā manzar nahīñ
jal rahe haiñ ham to apnī aag meñ
ātishīñ terā hasīñ paikar nahīñ
raushnī kī bhiik māñgūñ ġhair se
itnā bhī tārīk merā ghar nahīñ
ho ga.e 'betāb' ab ham sarfarāz
ab kisī chaukhaT pe apnā sar nahīñ
aaj kuchh andesha-e-sarsar nahin
ab koi hum mein shikasta-par nahin
samne shishe to hain lakhon magar
aaj apne hath mein patthar nahin
phul zaKHmon ke khile hain ja-ba-ja
ye to mere shahr ka manzar nahin
jal rahe hain hum to apni aag mein
aatishin tera hasin paikar nahin
raushni ki bhik mangun ghair se
itna bhi tarik mera ghar nahin
ho gae 'betab' ab hum sarfaraaz
ab kisi chaukhaT pe apna sar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.