aaj kuchh surat-e-aflak juda lagti hai
aaj kuchh sūrat-e-aflāk judā lagtī hai
dekhtā huuñ tirī jānib to ghaTā lagtī hai
zindagī ham tire kūche meñ chale aa.e to haiñ
tere kūche kī havā ham se ḳhafā lagtī hai
shab kī aahaT se yahāñ chauñk gayā hai koī
ye bhī shāyad mire dil hī kī ḳhatā lagtī hai
maiñ zamīnoñ kī lakīroñ meñ ulajhtā kaise
āsmānoñ se mirī gardish-e-pā lagtī hai
kyā milegā tujhe mele meñ bhaTakne vaale
in dukānoñ meñ faqat ek sadā lagtī hai
aaj kuchh surat-e-aflak juda lagti hai
dekhta hun teri jaanib to ghaTa lagti hai
zindagi hum tere kuche mein chale aae to hain
tere kuche ki hawa hum se KHafa lagti hai
shab ki aahaT se yahan chaunk gaya hai koi
ye bhi shayad mere dil hi ki KHata lagti hai
main zaminon ki lakiron mein ulajhta kaise
aasmanon se meri gardish-e-pa lagti hai
kya milega tujhe mele mein bhaTakne wale
in dukanon mein faqat ek sada lagti hai
- Book : Ishq (Pg. 94)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.