aaj kuchh yun shab-e-tanhai ka afsana chale
aaj kuchh yuuñ shab-e-tanhā.ī kā afsāna chale
raushnī sham.a se dil dard se begāna chale
shola-dar-shola kisī yaad ke chehre ubhreñ
mauj-dar-mauj habāb-e-ruḳh-e-jānāna chale
kuchh na go aañkh meñ be-dard nigāhoñ ke sivā
guftugū sāqī-e-daurāñ se harīfāna chale
vaqt jhūme kahīñ bahke kahīñ tham jaa.e kahīñ
khil uTheñ naqsh-e-qadam yuuñ koī dīvāna chale
TūTne paa.e na ye silsila-e-gardish-e-dard
dast-dar-dast chhalaktā huā paimāna chale
aaj kuchh yun shab-e-tanhai ka afsana chale
raushni shama se dil dard se begana chale
shola-dar-shola kisi yaad ke chehre ubhren
mauj-dar-mauj habab-e-ruKH-e-jaanana chale
kuchh na go aankh mein be-dard nigahon ke siwa
guftugu saqi-e-dauran se harifana chale
waqt jhume kahin bahke kahin tham jae kahin
khil uThen naqsh-e-qadam yun koi diwana chale
TuTne pae na ye silsila-e-gardish-e-dard
dast-dar-dast chhalakta hua paimana chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.