aaj kyun chup hain tere saudai
aaj kyuuñ chup haiñ tere saudā.ī
hosh aayā unheñ ki maut aa.ī
apne armān aap ke va.ade
in khilaunoñ se umr bhalā.ī
piine vāloñ kī ḳhair ho yārab
terī rahmat huī ghaTā chhā.ī
fikr-e-sūd-o-ziyāñ kī nazr hue
vo ġham-e-āshiqī vo rusvā.ī
justujū kī huī to yuuñ takmīl
zindagī maut kī ḳhabar laa.ī
'soz' jiine kī aarzū meñ ham
ban ga.e maut ke tamannā.ī
aaj kyun chup hain tere saudai
hosh aaya unhen ki maut aai
apne arman aap ke wade
in khilaunon se umr bhalai
pine walon ki KHair ho yarab
teri rahmat hui ghaTa chhai
fikr-e-sud-o-ziyan ki nazr hue
wo gham-e-ashiqi wo ruswai
justuju ki hui to yun takmil
zindagi maut ki KHabar lai
'soz' jine ki aarzu mein hum
ban gae maut ke tamannai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.