Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj mail-ba-karam ek but-e-ranai hai

Bakhtiyar Ziya

aaj mail-ba-karam ek but-e-ranai hai

Bakhtiyar Ziya

MORE BYBakhtiyar Ziya

    aaj mā.il-ba-karam ik but-e-ra.anā.ī hai

    saarī duniyā mire dāman meñ simaT aa.ī hai

    husn masrūf-e-tajalli-o-ḳhud-ārā.ī hai

    vo tamāsha nahīñ ḳhud bhī tamāshā.ī hai

    aap se pahle kahāñ ġham se shanāsā.ī thī

    mil ga.e aap to har ġham se shanāsā.ī hai

    is tarah dekhnā jaise mujhe dekhā nahīñ

    ye adā aap ḳhud maz.har-e-yaktā.ī hai

    chand kaliyāñ nahīñ saarā chaman apnā hai

    kaun Tokegā hameñ kis qazā aa.ī hai

    jis meñ dahke hue sho.ale tāsīr na ho

    vo 'ziyā' sher nahīñ qāfiya-paimā.ī hai

    aaj mail-ba-karam ek but-e-ranai hai

    sari duniya mere daman mein simaT aai hai

    husn masruf-e-tajalli-o-KHud-arai hai

    wo tamasha hi nahin KHud bhi tamashai hai

    aap se pahle kahan gham se shanasai thi

    mil gae aap to har gham se shanasai hai

    is tarah dekhna jaise mujhe dekha hi nahin

    ye ada aap ki KHud mazhar-e-yaktai hai

    chand kaliyan hi nahin sara chaman apna hai

    kaun Tokega hamein kis ki qaza aai hai

    jis mein dahke hue shoale ki si tasir na ho

    wo 'ziya' sher nahin qafiya-paimai hai

    Source :
    • Book : Shab Charagh (Pg. 113)
    • Author : Bakhtiyar Ziya
    • Publication : Markaz-e-adab (1993)
    • Edition : 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now