aaj mai-KHane mein barkat hi sahi
aaj mai-ḳhāne meñ barkat hī sahī
mai-kasho aao ibādat hī sahī
chāhiye kuchh to pa-e-nazr-e-karam
ai gunahgār nadāmat hī sahī
ma.ani-e-husn samajh leñge kabhī
abhī mahviyyat-e-sūrat hī sahī
zindagī maut se behtar hai zarūr
hai musībat to musībat hī sahī
na sahī bar-taraf ai husn abhī
chaar din kī hameñ ruḳhsat hī sahī
hai hameñ apnī mohabbat se ġharaz
un ko nafrat hai to nafrat hī sahī
zindagī kaT to rahī hai 'nātiq'
ḳhair ġhurbat hai to ġhurbat hī sahī
aaj mai-KHane mein barkat hi sahi
mai-kasho aao ibaadat hi sahi
chahiye kuchh to pa-e-nazr-e-karam
ai gunahgar nadamat hi sahi
mani-e-husn samajh lenge kabhi
abhi mahwiyyat-e-surat hi sahi
zindagi maut se behtar hai zarur
hai musibat to musibat hi sahi
na sahi bar-taraf ai husn abhi
chaar din ki hamein ruKHsat hi sahi
hai hamein apni mohabbat se gharaz
un ko nafrat hai to nafrat hi sahi
zindagi kaT to rahi hai 'natiq'
KHair ghurbat hai to ghurbat hi sahi
- Deewan-e-Natiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.