aaj main hun sham hai saqi hai daur-e-jam hai
aaj maiñ huuñ shaam hai saaqī hai daur-e-jām hai
paañv kī Thokar pe apnī gardish-e-ayyām hai
baaġh meñ titlī hai gul hai husn-e-lāla-fām hai
chāñdnī hai raqs meñ rañgīniyoñ kī shaam hai
be-hisī kahiye ise yā ḳhūgar-e-ġham jāniye
apnī nākāmī pe bhī ḳhush ye dil-e-nākām hai
ham ko in se hai tavaqqo vo sarāpā haiñ gurez
haiñ vafā nā-āshnā ham par yahī ilzām hai
kaun ruḳhsat ho gayā devī ġhazal kī ro rahī
shahar meñ sher-o-suḳhan ke ik machā kohrām hai
ik zarā sā dil hai aur duniyā jahāñ kī āfateñ
saiñkaḌoñ ġham ke charāġhoñ se sajā ye baam hai
merī 'farhat' shā.irī is be-suḳhan kī den hai
shā.irī kyā zindagānī bhī usī ke naam hai
aaj main hun sham hai saqi hai daur-e-jam hai
panw ki Thokar pe apni gardish-e-ayyam hai
bagh mein titli hai gul hai husn-e-lala-fam hai
chandni hai raqs mein ranginiyon ki sham hai
be-hisi kahiye ise ya KHugar-e-gham jaaniye
apni nakaami pe bhi KHush ye dil-e-nakaam hai
hum ko in se hai tawaqqo wo sarapa hain gurez
hain wafa na-ashna hum par yahi ilzam hai
kaun ruKHsat ho gaya dewi ghazal ki ro rahi
shahar mein sher-o-suKHan ke ek macha kohram hai
ek zara sa dil hai aur duniya jahan ki aafaten
sainkaDon gham ke charaghon se saja ye baam hai
meri 'farhat' shairi is be-suKHan ki den hai
shairi kya zindagani bhi usi ke nam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.