aaj main phir se mahtab banun
aaj maiñ phir se māhtāb banūñ
tū mujhe paḌh tirī kitāb banūñ
shabnamī raat kī ḳhumārī meñ
tū mujhe pī tirī sharāb banūñ
pūchhe kitne savāl ye duniyā
un kī har baat kā javāb banūñ
tū bhī ban jaa.e gul mirā hamdam
maiñ bhī mahkā huā shabāb banūñ
tū sahar laane kā to kar va.ada
terī ḳhātir maiñ āftāb banūñ
aaj main phir se mahtab banun
tu mujhe paDh teri kitab banun
shabnami raat ki KHumari mein
tu mujhe pi teri sharab banun
puchhe kitne sawal ye duniya
un ki har baat ka jawab banun
tu bhi ban jae gul mera hamdam
main bhi mahka hua shabab banun
tu sahar lane ka to kar wada
teri KHatir main aaftab banun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.