aaj maqtal ko sajaya ja raha hai
aaj maqtal ko sajāyā jā rahā hai
ḳhūn-e-nāhaq bhī bahāyā jā rahā hai
raqs karne ke liye kuchh laḌkiyoñ ko
baarī baarī hī bulāyā jā rahā hai
jis ne kalima paḌh liyā thā āḳhirī dam
is kā lāsha kyuuñ jalāyā jā rahā hai
us ke lahje meñ ra.ūnat to nahīñ hai
us ko nazroñ se girāyā jā rahā hai
ghar to ḳhālī hai guzishta ek maah se
mere hāthoñ se karāyā jā rahā hai
mann-o-salvā se bahut aage hai ye
karbalā lañgar jo khāyā jā rahā hai
do haiñ shā.ir sirf cigarette ek hai
baarī baarī kash lagā yā jā rahā hai
aap kā mujh se jo rishta hai use
kitnī diqqat se nibhāyā jā rahā hai
aaj maqtal ko sajaya ja raha hai
KHun-e-nahaq bhi bahaya ja raha hai
raqs karne ke liye kuchh laDkiyon ko
bari bari hi bulaya ja raha hai
jis ne kalima paDh liya tha aaKHiri dam
is ka lasha kyun jalaya ja raha hai
us ke lahje mein raunat to nahin hai
us ko nazron se giraya ja raha hai
ghar to KHali hai guzishta ek mah se
mere hathon se karaya ja raha hai
mann-o-salwa se bahut aage hai ye
karbala langar jo khaya ja raha hai
do hain shair sirf cigarette ek hai
bari bari kash laga ya ja raha hai
aap ka mujh se jo rishta hai use
kitni diqqat se nibhaya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.