aaj mausam mein kuchh nami si hai
aaj mausam meñ kuchh namī sī hai
barf rishtoñ meñ phir jamī sī hai
saath sab haiñ magar binā tere
suunī mahfil hai kuchh kamī sī hai
maiñ farishta samajh samajh rahī thī jise
us kī fitrat bhī aadmī sī hai
jab se us ne kahā vo aa.egā
jaane kyuuñ saañs ye thamī sī hai
aaj vo hai mirī panāhoñ meñ
aaj kī raat shabnamī sī hai
aaj mausam mein kuchh nami si hai
barf rishton mein phir jami si hai
sath sab hain magar bina tere
suni mahfil hai kuchh kami si hai
main farishta samajh samajh rahi thi jise
us ki fitrat bhi aadmi si hai
jab se us ne kaha wo aaega
jaane kyun sans ye thami si hai
aaj wo hai meri panahon mein
aaj ki raat shabnami si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.