Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aaj mujh sa is jahan mein be-nawa koi nahin

Al-Haaj Al-Hafiz

aaj mujh sa is jahan mein be-nawa koi nahin

Al-Haaj Al-Hafiz

MORE BYAl-Haaj Al-Hafiz

    aaj mujh is jahāñ meñ be-navā koī nahīñ

    kis ko maiñ apnā kahūñ jab āshnā koī nahīñ

    sar ko dhun luuñ maiñ ki pīTūñ dil jigar ko kyā karūñ

    ham-nashīñ hamdam na mahram ham-navā koī nahīñ

    ye shikāyat sahī lekin hai apne baḳht se

    dosto tum se hameñ shikva gila koī nahīñ

    be-niyāzī adā āḳhir ko un se siikh

    kyā chale ho pūchhne jab mudda.ā koī nahīñ

    naqsh-e-hairat haiñ mire ahbāb tāroñ tarah

    sab āñkheñ haiñ khulī par dekhtā koī nahīñ

    ye tumhārī sādgī bhī to balā-e-jān hai

    ishva-o-ġhamza nahīñ nāz-o-adā koī nahīñ

    naqsh-bar-dīvār huuñ aa kar tumhārī bazm meñ

    log sūrat dekhte haiñ pūchhtā koī nahīñ

    dekhne meñ kis qadar dilkash haiñ rangīñ naqsh-e-gul

    log phir bhī kahte haiñ bū-e-vafā koī nahīñ

    ab guloñ par ḳhaar ko tarjīh jaane lagī

    is chaman meñ ham-nafas bulbul tirā koī nahīñ

    ye sila merī vafā de ke vo bhī chal diye

    umr bhar talḳhiyāñ haiñ aasrā koī nahīñ

    phir kisī ne ik sadā mānūs hai dekhnā

    jabki is duniyā meñ apnā ham-navā koī nahīñ

    doctor 'dīvān' sāhib aa.e bhī to kyā kareñ

    is marīz-e-ishq ke dil davā koī nahīñ

    aaj mujh sa is jahan mein be-nawa koi nahin

    kis ko main apna kahun jab aashna koi nahin

    sar ko dhun lun main ki piTun dil jigar ko kya karun

    ham-nashin hamdam na mahram ham-nawa koi nahin

    ye shikayat hi sahi lekin hai apne baKHt se

    dosto tum se hamein shikwa gila koi nahin

    be-niyazi ki ada aaKHir ko un se sikh li

    kya chale ho puchhne jab muddaa koi nahin

    naqsh-e-hairat hain mere ahbab taron ki tarah

    sab ki aankhen hain khuli par dekhta koi nahin

    ye tumhaari sadgi bhi to bala-e-jaan hai

    ishwa-o-ghamza nahin naz-o-ada koi nahin

    naqsh-bar-diwar hun aa kar tumhaari bazm mein

    log surat dekhte hain puchhta koi nahin

    dekhne mein kis qadar dilkash hain rangin naqsh-e-gul

    log phir bhi kahte hain bu-e-wafa koi nahin

    ab gulon par KHar ko tarjih di jaane lagi

    is chaman mein ham-nafas bulbul tera koi nahin

    ye sila meri wafa ka de ke wo bhi chal diye

    umr bhar ki talKHiyan hain aasra koi nahin

    phir kisi ne ek sada manus di hai dekhna

    jabki is duniya mein apna ham-nawa koi nahin

    doctor 'diwan' sahib aae bhi to kya karen

    is mariz-e-ishq ke dil ki dawa koi nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now