aaj nazar-andaz hue to baat hai kya hairani ki
aaj nazar-andāz hue to baat hai kyā hairānī kī
aayat jaise log mile aur ham ne rū-gardānī kī
kitne ruup kī dhuup hamāre siine par lahrā.ī thī
ham ne chādar khīñch lī ḳhud par ham ne tan-āsānī kī
kyā karte ik husn-e-yūsuf aur zuleḳhā kyā bante
ham ne donoñ lutf uThā.e ham ne qissa-ḳhvānī kī
dariyāoñ se milte-julte log rahe haiñ pahlū meñ
phir bhī ham ne bhar ke rakkhī apnī chhāgal paanī kī
pahle maiñ ne hukm diyā thā bas mujh ko mahsūs karo
baad meñ us ko jism banāyā jis ne nā-farmānī kī
aaj nazar-andaz hue to baat hai kya hairani ki
aayat jaise log mile aur hum ne ru-gardani ki
kitne rup ki dhup hamare sine par lahrai thi
hum ne chadar khinch li KHud par hum ne tan-asani ki
kya karte ek husn-e-yusuf aur zuleKHa kya bante
hum ne donon lutf uThae hum ne qissa-KHwani ki
dariyaon se milte-julte log rahe hain pahlu mein
phir bhi hum ne bhar ke rakkhi apni chhagal pani ki
pahle main ne hukm diya tha bas mujh ko mahsus karo
baad mein us ko jism banaya jis ne na-farmani ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.