aaj nazren chura raha tha bahut
aaj nazreñ churā rahā thā bahut
jo kabhī āshnā rahā thā bahut
āñsuoñ meñ Dubā ke ḳhatm kiyā
ek rishta thakā rahā thā bahut
duur jaanā to tai hī thā us kā
shaḳhs vo ham ko bhā rahā thā bahut
ham se bhī intizār ho na sakā
vaqt bhī vo lagā rahā thā bahut
maut ne ain tab hī dastak dī
jab ye jiinā lubhā rahā thā bahut
aaj nazren chura raha tha bahut
jo kabhi aashna raha tha bahut
aansuon mein Duba ke KHatm kiya
ek rishta thaka raha tha bahut
dur jaana to tai hi tha us ka
shaKHs wo hum ko bha raha tha bahut
hum se bhi intizar ho na saka
waqt bhi wo laga raha tha bahut
maut ne ain tab hi dastak di
jab ye jina lubha raha tha bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.