aaj phir dard hai ehsas hai tanhai hai
aaj phir dard hai ehsās hai tanhā.ī hai
aur aise meñ tirī yaad chalī aa.ī hai
aur ab pyaar ko tum koste phirte kyoñ ho
maiñ na kahtā thā mire dost vahāñ khaa.ī hai
phuul haiñ yā ye tire lab haiñ khile shāḳhoñ par
shāḳh kā ḳham hai ki jaise tirī añgḌā.ī hai
aisā lagtā hai ye vīrānī hai sāthī merī
aisā lagtā hai ye sannāTā mirā bhaa.ī hai
us kī ḳhātir mirī dhaḌkan bhī huī be-qābū
ek laḌkī jo mire naam pe sharmā.ī hai
terī sūrat ne bharā rang mire lamhoñ meñ
terī bātoñ ne mirī shaam ye mahkā.ī hai
vāpsī kā koī rasta nahīñ miltā 'ātif'
zindagī jaane ye kis moḌ mujhe laa.ī hai
aaj phir dard hai ehsas hai tanhai hai
aur aise mein teri yaad chali aai hai
aur ab pyar ko tum koste phirte kyon ho
main na kahta tha mere dost wahan khai hai
phul hain ya ye tere lab hain khile shaKHon par
shaKH ka KHam hai ki jaise teri angDai hai
aisa lagta hai ye virani hai sathi meri
aisa lagta hai ye sannaTa mera bhai hai
us ki KHatir meri dhaDkan bhi hui be-qabu
ek laDki jo mere nam pe sharmai hai
teri surat ne bhara rang mere lamhon mein
teri baaton ne meri sham ye mahkai hai
wapsi ka koi rasta nahin milta 'atif'
zindagi jaane ye kis moD mujhe lai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.