aaj phir dard jigar se guzra
aaj phir dard jigar se guzrā
ek sāgar jyuuñ bhañvar se guzrā
tar-ba-tar yaad liye ik bādal
DabDabāyā sā nazar se guzrā
dar pe un ke bhī paḌī thī sāñkal
aaj kaisā maiñ udhar se guzrā
gum-shuda gaañv liye ḳhvāboñ meñ
maiñ haqīqat ke nagar se guzrā
ek charchā thī merī barbādī
aaj jab jab maiñ jidhar se guzrā
aaj phir dard jigar se guzra
ek sagar jyun bhanwar se guzra
tar-ba-tar yaad liye ek baadal
DabDabaya sa nazar se guzra
dar pe un ke bhi paDi thi sankal
aaj kaisa main udhar se guzra
gum-shuda ganw liye KHwabon mein
main haqiqat ke nagar se guzra
ek charcha thi meri barbaadi
aaj jab jab main jidhar se guzra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.