aaj phir ru-ba-ru karoge tum
aaj phir rū-ba-rū karoge tum
mujh se kyā guftugū karoge tum
mujh se loge mire lahū qisās
phir mujhe surḳh-rū karoge tum
haif ho merī bad-mizājī par
aap apnā lahū karoge tum
tum gañvā doge ek din mujh ko
phir mirī justujū karoge tum
tum saf-e-dostāñ meñ ho lekin
phir bhī kār-e-adū karoge tum
zaḳhm par zaḳhm khaa.e jaate ho
aur rafū par rafū karoge tum
ham bhī maqtal meñ sar kaTā.eñge
apne ḳhuuñ se vuzū karoge tum
ai mirī jaan aib hai ye bhī
ham ko maiñ tum ko tū karoge tum
maiñ to 'shāhid' bhī huuñ 'kamāl' bhī huuñ
mere haq meñ ġhulū karoge tum
aaj phir ru-ba-ru karoge tum
mujh se kya guftugu karoge tum
mujh se loge mere lahu qisas
phir mujhe surKH-ru karoge tum
haif ho meri bad-mizaji par
aap apna lahu karoge tum
tum ganwa doge ek din mujh ko
phir meri justuju karoge tum
tum saf-e-dostan mein ho lekin
phir bhi kar-e-adu karoge tum
zaKHm par zaKHm khae jate ho
aur rafu par rafu karoge tum
hum bhi maqtal mein sar kaTaenge
apne KHun se wuzu karoge tum
ai meri jaan aib hai ye bhi
hum ko main tum ko tu karoge tum
main to 'shahid' bhi hun 'kamal' bhi hun
mere haq mein ghulu karoge tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.