aaj qismat ka bulandi pe sitara kar de
aaj qismat kā bulandī pe sitārā kar de
jis ko ham chāheñ usī ko tū hamārā kar de
jo gavārā bhī na ho us ko gavārā kar de
us kā har zulm-o-sitam jaan se pyārā kar de
chashm-e-rahmat se agar tū jo ishārā kar de
ḳhaak ke zarre ko pur-nūr sitārā kar de
muskurā kar ai mirī jaañ tū uThā le patvār
mauj-e-dariyā ko mire haq meñ kinārā kar de
tīliyāñ kunj-e-qafas kī jo jalā detī haiñ
merī aahoñ ko ilāhī vo sharāra kar de
jis ne āfāq meñ mumtāz kiyā thā mujh ko
mere mālik vo karam mujh pe dobārā kar de
zulm kī bastī ko 'shātir' jo bahā le jaa.e
apnī hastī ko vo tūfān kā dhārā kar de
aaj qismat ka bulandi pe sitara kar de
jis ko hum chahen usi ko tu hamara kar de
jo gawara bhi na ho us ko gawara kar de
us ka har zulm-o-sitam jaan se pyara kar de
chashm-e-rahmat se agar tu jo ishaara kar de
KHak ke zarre ko pur-nur sitara kar de
muskura kar ai meri jaan tu uTha le patwar
mauj-e-dariya ko mere haq mein kinara kar de
tiliyan kunj-e-qafas ki jo jala deti hain
meri aahon ko ilahi wo sharara kar de
jis ne aafaq mein mumtaz kiya tha mujh ko
mere malik wo karam mujh pe dobara kar de
zulm ki basti ko 'shatir' jo baha le jae
apni hasti ko wo tufan ka dhaara kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.