aaj rang bhi lai dil ki bazm-arai
aaj rang bhī laa.ī dil kī bazm-ārā.ī
chhuT gayā hai hāthoñ se dāman-e-shakebā.ī
dīda-e-mohabbat kī ashk-reziyāñ kyā thiiñ
ḳhushk ho ga.ī kyūñkar do-jahāñ kī pahnā.ī
ye bhī ik bahāna thā tum ko āzmāne kā
varna jiine vāloñ ko maut bhī na raas aa.ī
vahm se guzarnā thā e.atibār karnā thā
Thokareñ na khā.egī merī jāda-paimā.ī
mahv kar diyā kis ne shor-e-mai-kada saarā
kis ne hosh khoyā hai kis ko terī yaad aa.ī
miT ga.ī hai be-kaifī bāl-o-par kī iimā se
yā nigāh kī hasrat qismateñ badal laa.ī
surma ban ga.e 'anjum' dāġh-hā-e-peshānī
kaun chhīn saktā hai sang-e-dar kī bīnā.ī
aaj rang bhi lai dil ki bazm-arai
chhuT gaya hai hathon se daman-e-shakebai
dida-e-mohabbat ki ashk-reziyan kya thin
KHushk ho gai kyunkar do-jahan ki pahnai
ye bhi ek bahana tha tum ko aazmane ka
warna jine walon ko maut bhi na ras aai
wahm se guzarna tha eatibar karna tha
Thokaren na khaegi meri jada-paimai
mahw kar diya kis ne shor-e-mai-kada sara
kis ne hosh khoya hai kis ko teri yaad aai
miT gai hai be-kaifi baal-o-par ki ima se
ya nigah ki hasrat qismaten badal lai
surma ban gae 'anjum' dagh-ha-e-peshani
kaun chhin sakta hai sang-e-dar ki binai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.