aaj sayyaad ne bhule se chaman dikhlaya
aaj sayyād ne bhūle se chaman dikhlāyā
merī taqdīr ne phir mujh ko vatan dikhlāyā
ain mastī meñ jo vo shoḳh huā sar ki jabīñ
ye uḌe hosh ki nashshe ne hiran dikhlāyā
jhuT-puTā vaqt huā maut kā sāmāñ shab-e-vasl
sahar-e-hijr kā murdoñ ne kafan dikhlāyā
chāñd ko dekhte haiñ loTte añgāroñ par
tum ne kyuuñ kabk-e-darī ko ye chalan dikhlāyā
aa.e vallāh dil-e-hairān meñ kyā kuchh armāñ
us ne ā.īne ko tan tan ke jo tan dikhlāyā
marte jiite hī rahe ham to ajī dam dam meñ
na kamar us ne dikhā.ī na dahan dikhlāyā
yaad meñ phuul se gāloñ ke sambhālā dil ko
kabhī nasrīñ to kabhī us ko saman dikhlāyā
phir tirā shor-e-tabassum jo namak-rez huā
phir mirā taaza mujhe zaḳhm-e-kuhan dikhlāyā
kal jo thā va.ada-e-vasl aaj vo fardā niklā
din qayāmat kā to ai va.ada-shikan dikhlāyā
kyuuñ na maiñ ḳhaar banūñ chashm-e-raqībāñ meñ 'nasīm'
phuul se gaal mujhe ġhuncha-dahan dikhlāyā
aaj sayyaad ne bhule se chaman dikhlaya
meri taqdir ne phir mujh ko watan dikhlaya
ain masti mein jo wo shoKH hua sar ki jabin
ye uDe hosh ki nashshe ne hiran dikhlaya
jhuT-puTa waqt hua maut ka saman shab-e-wasl
sahar-e-hijr ka murdon ne kafan dikhlaya
chand ko dekhte hain loTte angaron par
tum ne kyun kabk-e-dari ko ye chalan dikhlaya
aae wallah dil-e-hairan mein kya kuchh arman
us ne aaine ko tan tan ke jo tan dikhlaya
marte jite hi rahe hum to aji dam dam mein
na kamar us ne dikhai na dahan dikhlaya
yaad mein phul se galon ke sambhaala dil ko
kabhi nasrin to kabhi us ko saman dikhlaya
phir tera shor-e-tabassum jo namak-rez hua
phir mera taza mujhe zaKHm-e-kuhan dikhlaya
kal jo tha wada-e-wasl aaj wo farda nikla
din qayamat ka to ai wada-shikan dikhlaya
kyun na main KHar banun chashm-e-raqiban mein 'nasim'
phul se gal mujhe ghuncha-dahan dikhlaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.