aaj sitare aangan mein hain un ko ruKHsat mat karna
aaj sitāre āñgan meñ haiñ un ko ruḳhsat mat karnā
shaam se maiñ bhī uljhan meñ huuñ tum bhī ġhaflat mat karnā
har āñgan meñ diye jalānā har āñgan meñ phuul khilānā
is bastī meñ sab kuchh karnā ham se mohabbat mat karnā
ajnabī mulkoñ ajnabī logoñ meñ aa kar ma.alūm huā
dekhnā saare zulm vatan meñ lekin hijrat mat karnā
us kī yaad meñ din bhar rahnā aañsū roke chup sādhe
phir bhī sab se bāteñ karnā us kī shikāyat mat karnā
aaj sitare aangan mein hain un ko ruKHsat mat karna
sham se main bhi uljhan mein hun tum bhi ghaflat mat karna
har aangan mein diye jalana har aangan mein phul khilana
is basti mein sab kuchh karna hum se mohabbat mat karna
ajnabi mulkon ajnabi logon mein aa kar malum hua
dekhna sare zulm watan mein lekin hijrat mat karna
us ki yaad mein din bhar rahna aansu roke chup sadhe
phir bhi sab se baaten karna us ki shikayat mat karna
- Book : chaar khvaab (Pg. 63)
- Author : qamar jameel
- Publication : mkataba aasii (1985)
- Edition : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.