aaj sunta kaun hai is mahram-e-asrar ki
aaj suntā kaun hai is mahram-e-asrār kī
kal likhī jā.eñge sharheñ mere in ash.ār kī
kuchh to kahiye apnī ḳhātir tā-ki ho sābit vajūd
aa.ine ko bhī zarūrat hai yahāñ zañgār kī
raushnī phir raushnī hai ho haram yā dair meñ
uḌ ke pahuñchā daad diije kirmak-e-par-dār kī
ahl-e-haq ke vāste hai zindagī ek pul-sirāt
jī rahā huuñ dekhiye maiñ dhaar par talvār kī
be-niyāz-e-har-do-ālam huuñ ba-faiz-e-lam-yazal
qalb meñ sūrat utar ke rah ga.ī hai yaar kī
aaj sunta kaun hai is mahram-e-asrar ki
kal likhi jaenge sharhen mere in ashaar ki
kuchh to kahiye apni KHatir ta-ki ho sabit wajud
aaine ko bhi zarurat hai yahan zangar ki
raushni phir raushni hai ho haram ya dair mein
uD ke pahuncha dad dije kirmak-e-par-dar ki
ahl-e-haq ke waste hai zindagi ek pul-siraat
ji raha hun dekhiye main dhaar par talwar ki
be-niyaz-e-har-do-alam hun ba-faiz-e-lam-yazal
qalb mein surat utar ke rah gai hai yar ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.