aaj tabir KHwabon ki hum pa gae
aaj ta.abīr ḳhvāboñ kī ham pā ga.e
lo jinheñ chāhte the vo ḳhud aa ga.e
jab ishāra nazar kā tirī pā ga.e
be-muhābā zamāne se Takrā ga.e
kis ḳhushī se uThāyā hai har ek ġham
dost jab se tirī ham razā pā ga.e
ab to jalve hī jalve nigāhoñ meñ haiñ
tum tasavvur kī duniyā pe yuuñ chhā ga.e
ḳhud zamāna bhī ab mehrbāñ ho gayā
ham ġham-e-dost jab se tujhe pā ga.e
aa rahā thā jafāoñ meñ mujh ko mazā
jaane kyā soch kar ab vo baaz aa ga.e
phuul murjhā ga.e aur gire shāḳh se
ek pal kī hañsī kī sazā pā ga.e
kyoñ fareb-e-vafā bhī na rahne diyā
ye sahārā bhī jiine kā tum Dhā ga.e
e'tibār un ke va.adoñ kā kab thā hameñ
ham ḳhushī se ye dhoke magar khā ga.e
vo jo khelā kiye mere dil kā shikār
aaj vo apne hī daam meñ aa ga.e
dil kī barbādiyoñ kā gila jin se thā
aaj phir un kī bātoñ meñ ham aa ga.e
ek 'habīb' us se pahle the ham ajnabī
dard de kar mujhe aap apnā ga.e
aaj tabir KHwabon ki hum pa gae
lo jinhen chahte the wo KHud aa gae
jab ishaara nazar ka teri pa gae
be-muhaba zamane se Takra gae
kis KHushi se uThaya hai har ek gham
dost jab se teri hum raza pa gae
ab to jalwe hi jalwe nigahon mein hain
tum tasawwur ki duniya pe yun chha gae
KHud zamana bhi ab mehrban ho gaya
hum gham-e-dost jab se tujhe pa gae
aa raha tha jafaon mein mujh ko maza
jaane kya soch kar ab wo baz aa gae
phul murjha gae aur gire shaKH se
ek pal ki hansi ki saza pa gae
kyon fareb-e-wafa bhi na rahne diya
ye sahaara bhi jine ka tum Dha gae
e'tibar un ke wadon ka kab tha hamein
hum KHushi se ye dhoke magar kha gae
wo jo khela kiye mere dil ka shikar
aaj wo apne hi dam mein aa gae
dil ki barbaadiyon ka gila jin se tha
aaj phir un ki baaton mein hum aa gae
ek 'habib' us se pahle the hum ajnabi
dard de kar mujhe aap apna gae
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 84)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
- Publication : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.