aaj tak kaise guzari hai ye ab puchhti hai
aaj tak kaise guzārī hai ye ab pūchhtī hai
raat TuuTe hue tāroñ kā sabab pūchhtī hai
tū agar chhoḌ ke jaane pe tulā hai to jā
jaan bhī jism se jaatī hai to kab pūchhtī hai
kal mire sar pe mirā taaj thā to sab the mire
aaj duniyā ye mirā nām-o-nasab pūchhtī hai
maiñ charāġhoñ kī laveñ thaam ke so jaatā huuñ
raat jab mujh se mirā husn-e-talab pūchhtī hai
aaj tak kaise guzari hai ye ab puchhti hai
raat TuTe hue taron ka sabab puchhti hai
tu agar chhoD ke jaane pe tula hai to ja
jaan bhi jism se jati hai to kab puchhti hai
kal mere sar pe mera taj tha to sab the mere
aaj duniya ye mera nam-o-nasab puchhti hai
main charaghon ki lawen tham ke so jata hun
raat jab mujh se mera husn-e-talab puchhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.