aaj tanhai mein is dil ko jala kar dekhun
aaj tanhā.ī meñ is dil ko jalā kar dekhūñ
aur phir jaltā diyā ḳhud hī bujhā kar dekhūñ
zindagī tere liye raqs kiyā hai kitnā
dil ye kahtā hai ki ab tujh ko nachā kar dekhūñ
ḳhud hī tayyār karūñ kachchā ghaḌā maiñ apnā
aur phir ḳhud ko hī dariyā meñ bahā kar dekhūñ
kisī jangal se guzarte hue gum ho jā.ūñ
ban ke darvesh maiñ ḳhud ko bhī bhulā kar dekhūñ
tū nahīñ paas to phir kyoñ tujhe mahsūs karūñ
terī ḳhushbū meñ base ḳhat bhī jalā kar dekhūñ
ab chalī jā.ūñ sarāboñ ke ta.āqub meñ kahīñ
reg dar reg maiñ sahrā meñ nahā kar dekhūñ
raat dariyā meñ bahā aa.ī maiñ saarī nazmeñ
vo hunar kyā hai jise sab ko sunā kar dekhūñ
aaj tanhai mein is dil ko jala kar dekhun
aur phir jalta diya KHud hi bujha kar dekhun
zindagi tere liye raqs kiya hai kitna
dil ye kahta hai ki ab tujh ko nacha kar dekhun
KHud hi tayyar karun kachcha ghaDa main apna
aur phir KHud ko hi dariya mein baha kar dekhun
kisi jangal se guzarte hue gum ho jaun
ban ke darwesh main KHud ko bhi bhula kar dekhun
tu nahin pas to phir kyon tujhe mahsus karun
teri KHushbu mein base KHat bhi jala kar dekhun
ab chali jaun sarabon ke taaqub mein kahin
reg dar reg main sahra mein naha kar dekhun
raat dariya mein baha aai main sari nazmen
wo hunar kya hai jise sab ko suna kar dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.