aaj to apni adaon ka hunar dekhenge
aaj to apnī adāoñ kā hunar dekheñge
ā.īno aao tumhārā bhī jigar dekheñge
dard-e-ġham itnā mehrbān huā hai ham par
aag par apnī hī aahoñ kā safar dekheñge
dil ko dīpak kī tarah zid pe jalāyā maiñ ne
āñdhiyoñ is pe tumhārā bhī asar dekheñge
shoḳh lahro kī hathelī pe na aañsū rakkho
log dariyā kī nigāhoñ meñ bhañvar dekheñge
aaj to apni adaon ka hunar dekhenge
aaino aao tumhaara bhi jigar dekhenge
dard-e-gham itna mehrban hua hai hum par
aag par apni hi aahon ka safar dekhenge
dil ko dipak ki tarah zid pe jalaya main ne
aandhiyon is pe tumhaara bhi asar dekhenge
shoKH lahro ki hatheli pe na aansu rakkho
log dariya ki nigahon mein bhanwar dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.