aaj tum apni kaho meri kahani phir kabhi
aaj tum apnī kaho merī kahānī phir kabhī
shaam shāyad ab na ho jānāñ suhānī phir kabhī
vasl ke shāhid rahe bhañvre kalī sab shaam ke
shaam kī ahl-e-jahāñ sun tarjumānī phir kabhī
baat ashkoñ ne kahī ḳhāmosh ham donoñ rahe
jhuum ke bolī ghaTā barse na paanī phir kabhī
muuñd ke āñkheñ use dekhā karūñ ḳhvāhish mirī
shauq-e-dīda bas abhī shauq-e-nihānī phir kabhī
giit gaanā 'ishq meñ hai paar jaanā 'ishq se
dekh luuñ jī-bhar use ye lan-tarānī phir kabhī
ye tamāsha zindagī kā ḳhatm hogā kyā kabhī
tham zarā kar 'ishq ab bāteñ jahānī phir kabhī
pheñk de saarī kitābeñ 'ishq kar ham se zarā
chhoḌ rāñjhā hiir ko qissa kahānī phir kabhī
aaj tum apni kaho meri kahani phir kabhi
sham shayad ab na ho jaanan suhani phir kabhi
wasl ke shahid rahe bhanwre kali sab sham ke
sham ki ahl-e-jahan sun tarjumani phir kabhi
baat ashkon ne kahi KHamosh hum donon rahe
jhum ke boli ghaTa barse na pani phir kabhi
mund ke aankhen use dekha karun KHwahish meri
shauq-e-dida bas abhi shauq-e-nihani phir kabhi
git gana 'ishq mein hai par jaana 'ishq se
dekh lun ji-bhar use ye lan-tarani phir kabhi
ye tamasha zindagi ka KHatm hoga kya kabhi
tham zara kar 'ishq ab baaten jahani phir kabhi
phenk de sari kitaben 'ishq kar hum se zara
chhoD ranjha hir ko qissa kahani phir kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.