aaj un ka mizaj barham hai
aaj un kā mizāj barham hai
yā muqaddar meñ ek nayā ḳham hai
chalte chalte maiñ thak gayā lekin
raat baaqī hai raushnī kam hai
koī tanhā.ī sī hai tanhā.ī
chār-sū ek hū kā aalam hai
saaqī chup-chāp mai-kadā suunā
saaz kī lai bhī aaj maddham hai
daaġh dil ke dikhā.ūñ maiñ kis ko
apnā apnā har ek kā ġham hai
dil ke ā.īne meñ jahāñ dekhā
goyā dil ek sāġhar-e-jam hai
cholī dāman kā saath hai un kā
zindagī hai jahāñ vahāñ ġham hai
āshiyāne kā ab ḳhudā-hāfiz
bāġhbāñ kā mizāj barham hai
kaun ḳhush-baḳht aaj yaad aayā
aañkh kyoñ ye tumhārī pur-nam hai
aate hoñge 'habīb' vo shāyad
dard pahle se aaj kuchh kam hai
aaj un ka mizaj barham hai
ya muqaddar mein ek naya KHam hai
chalte chalte main thak gaya lekin
raat baqi hai raushni kam hai
koi tanhai si hai tanhai
chaar-su ek hu ka aalam hai
saqi chup-chap mai-kada suna
saz ki lai bhi aaj maddham hai
dagh dil ke dikhaun main kis ko
apna apna har ek ka gham hai
dil ke aaine mein jahan dekha
goya dil ek saghar-e-jam hai
choli daman ka sath hai un ka
zindagi hai jahan wahan gham hai
aashiyane ka ab KHuda-hafiz
baghban ka mizaj barham hai
kaun KHush-baKHt aaj yaad aaya
aankh kyon ye tumhaari pur-nam hai
aate honge 'habib' wo shayad
dard pahle se aaj kuchh kam hai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 58)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.