aaj viraniyon mein mera dil naya silsila chahta hai
aaj vīrāniyoñ meñ mirā dil nayā silsila chāhtā hai
shaam Dhalne ko hai zindagī kī ḳhudā aur kyā chāhtā hai
dhuup kī niyyatoñ meñ bhaḌakne lage nafratoñ ke alaav
ai ghaTā is liye tujh ko merā badan oḌhnā chāhtā hai
niiñd kī rāhatoñ se nahīñ mutma.in silsila dhaḌkanoñ kā
phir dil-e-zār ra.anā.iyoñ meñ guñdhā ratjagā chāhtā hai
terī nazdīkiyoñ ko pahan ke maiñ shahzāda lagne lagā huuñ
chhū ke rañgīniyāñ ab ke dekhūñ tirī jii, baḌā chāhtā hai
parvarish hausloñ kī tamām umr mere lahū ne ḳhamoshī se kī
ab junūñ aks ko dekhne ke liye ā.īna chāhtā hai
jo hathelī kī saarī purānī lakīroñ ko tabdīl kar de
aisā ḳhush-rañg har aadmī ab yahāñ sāneha chāhtā hai
tum samundar ke sahme hue josh ko merā paiġhām denā
mausam-e-habs meñ phir koī aaj taaza havā chāhtā hai
umr bhar āñsuoñ se jo dhotā rahā chehra mahrūmiyoñ kā
vo tirī rahmatoñ se mire maulā ab ke jazā chāhtā hai
naaz thā jis ko merī rifāqat ke har lamha-e-muḳhtasar par
aaj mahsūs aisā huā hai ki vo fāsla chāhtā hai
aaj viraniyon mein mera dil naya silsila chahta hai
sham Dhalne ko hai zindagi ki KHuda aur kya chahta hai
dhup ki niyyaton mein bhaDakne lage nafraton ke alaw
ai ghaTa is liye tujh ko mera badan oDhna chahta hai
nind ki rahaton se nahin mutmain silsila dhaDkanon ka
phir dil-e-zar ranaiyon mein gundha ratjaga chahta hai
teri nazdikiyon ko pahan ke main shahzada lagne laga hun
chhu ke ranginiyan ab ke dekhun teri ji, baDa chahta hai
parwarish hauslon ki tamam umr mere lahu ne KHamoshi se ki
ab junun aks ko dekhne ke liye aaina chahta hai
jo hatheli ki sari purani lakiron ko tabdil kar de
aisa KHush-rang har aadmi ab yahan saneha chahta hai
tum samundar ke sahme hue josh ko mera paigham dena
mausam-e-habs mein phir koi aaj taza hawa chahta hai
umr bhar aansuon se jo dhota raha chehra mahrumiyon ka
wo teri rahmaton se mere maula ab ke jaza chahta hai
naz tha jis ko meri rifaqat ke har lamha-e-muKHtasar par
aaj mahsus aisa hua hai ki wo fasla chahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.