aaj wo bar-bar yaad aaya
aaj vo bār-bār yaad aayā
aur be-iḳhtiyār yaad aayā
jis ke dam se thī raunaq-e-hastī
vo dil-e-be-qarār yaad aayā
phir huī gudgudī sī talvoñ meñ
phir mujhe ḳhārzār yaad aayā
jab bhī azm-e-haram kiyā maiñ ne
aap kā rahguzār yaad aayā
abr-e-bārāñ ko dekh kar apnā
dīda-e-ashk-bār yaad aayā
raaz dil meñ chhupā rahā thā magar
dāman-e-tār-tār yaad aayā
aaj wo bar-bar yaad aaya
aur be-iKHtiyar yaad aaya
jis ke dam se thi raunaq-e-hasti
wo dil-e-be-qarar yaad aaya
phir hui gudgudi si talwon mein
phir mujhe KHarzar yaad aaya
jab bhi azm-e-haram kiya main ne
aap ka rahguzar yaad aaya
abr-e-baran ko dekh kar apna
dida-e-ashk-bar yaad aaya
raaz dil mein chhupa raha tha magar
daman-e-tar-tar yaad aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.