aaj wo be-hijab nikla hai
aaj vo be-hijāb niklā hai
yuuñ lagā māhtāb niklā hai
niiñd kī kaisī pahre-dārī hai
band āñkhoñ se ḳhvāb niklā hai
paḌ ga.ī hai darāḌ rishtoñ meñ
jaane kab kā hisāb niklā hai
zindagānī ke bahte dariyā meñ
saañs ban kar hubāb niklā hai
us kā ḳhat jab bhī ham ne kholā hai
ek taaza gulāb niklā hai
us ke ruḳh se naqāb ulTā to
dūsrā ik naqāb niklā hai
jaltī āñkhoñ se barse angāre
tab kahīñ inqalāb niklā hai
aaj wo be-hijab nikla hai
yun laga mahtab nikla hai
nind ki kaisi pahre-dari hai
band aankhon se KHwab nikla hai
paD gai hai daraD rishton mein
jaane kab ka hisab nikla hai
zindagani ke bahte dariya mein
sans ban kar hubab nikla hai
us ka KHat jab bhi hum ne khola hai
ek taza gulab nikla hai
us ke ruKH se naqab ulTa to
dusra ek naqab nikla hai
jalti aankhon se barse angare
tab kahin inqalab nikla hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.