aaj ye sochne baiTha hun ki kal kya hoga
aaj ye sochne baiThā huuñ ki kal kyā hogā
is se baḌh kar bhī kisī sar meñ ḳhalal kyā hogā
aaj kuchh hai to sahī haal kisī kā behtar
ye ḳhudā hī ko hai mālūm ki kal kyā hogā
kaam kī baat hai kahne ko to kah duuñ lekin
fikr hī jab nahīñ koī to amal kyā hogā
ek din us kī mohabbat meñ fanā ho jaanā
aur is uqda-e-dushvār kā hal kyā hogā
ye ġham-o-rañj hī qismat meñ agar likkhā hai
is meñ tadbīr se bhī radd-o-badal kyā hogā
jis meñ ik soz bhī ho saaz bhī ho ai 'hairat'
is se baḌh kar koī andāz-e-ġhazal kyā hogā
aaj ye sochne baiTha hun ki kal kya hoga
is se baDh kar bhi kisi sar mein KHalal kya hoga
aaj kuchh hai to sahi haal kisi ka behtar
ye KHuda hi ko hai malum ki kal kya hoga
kaam ki baat hai kahne ko to kah dun lekin
fikr hi jab nahin koi to amal kya hoga
ek din us ki mohabbat mein fana ho jaana
aur is uqda-e-dushwar ka hal kya hoga
ye gham-o-ranj hi qismat mein agar likkha hai
is mein tadbir se bhi radd-o-badal kya hoga
jis mein ek soz bhi ho saz bhi ho ai 'hairat'
is se baDh kar koi andaz-e-ghazal kya hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.