aaj yun hasti-e-imkan-o-guman se nikle
aaj yuuñ hastī-e-imkān-o-gumāñ se nikle
Duub kar jaise makāñ sail-e-ravāñ se nikle
ratjage bolne lagte haiñ mirī āñkhoñ meñ
rū-ba-rū harf na jab koī zabāñ se nikle
shāḳh-e-hastī se na uḌ jaa.e kahīñ tā.ir-e-jāñ
jab talak tiir kisī shoḳh kamāñ se nikle
sab gulāb apne hī lagte haiñ chaman meñ lekin
koī to apnā saf-e-lāla-ruḳhāñ se nikle
ḳhāna-e-dil meñ utārā to hai sūraj 'fāḳhir'
kaun rokegā agar dhuup makāñ se nikle
aaj yun hasti-e-imkan-o-guman se nikle
Dub kar jaise makan sail-e-rawan se nikle
ratjage bolne lagte hain meri aankhon mein
ru-ba-ru harf na jab koi zaban se nikle
shaKH-e-hasti se na uD jae kahin tair-e-jaan
jab talak tir kisi shoKH kaman se nikle
sab gulab apne hi lagte hain chaman mein lekin
koi to apna saf-e-lala-ruKHan se nikle
KHana-e-dil mein utara to hai suraj 'faKHir'
kaun rokega agar dhup makan se nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.