aaKHir bigaD gae mere sab kaam hone tak
āḳhir bigaḌ ga.e mire sab kaam hone tak
ik umr lag ga.ī mujhe nākām hone tak
dilkash dikhā.ī dete haiñ jo log sub.h-dam
un par nazar na Dāloge tum shaam hone tak
jis ishq ko chhupāne meñ ik umr lag ga.ī
ik pal lagā hai us ko sar-e-ām hone tak
qīmat mirī zarā sī mohabbat thī dosto
par muddateñ lagīñ mujhe nīlām hone tak
duniyā ne 'zeb' mujh ko kahīñ kā nahīñ rakhā
lekin maiñ chup huuñ zaat meñ kohrām hone tak
aaKHir bigaD gae mere sab kaam hone tak
ek umr lag gai mujhe nakaam hone tak
dilkash dikhai dete hain jo log subh-dam
un par nazar na Daloge tum sham hone tak
jis ishq ko chhupane mein ek umr lag gai
ek pal laga hai us ko sar-e-am hone tak
qimat meri zara si mohabbat thi dosto
par muddaten lagin mujhe nilam hone tak
duniya ne 'zeb' mujh ko kahin ka nahin rakha
lekin main chup hun zat mein kohram hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.