aaKHir-e-dam tak na dil se ye pashemani gai
āḳhir-e-dam tak na dil se ye pashemānī ga.ī
qadr terī hamdam-e-jānī na pahchānī ga.ī
ham jo chāheñge bahar-sūrat vahī ab honā hai
ye yaqīñ aa jaa.e to saarī pareshānī ga.ī
log bhī sab shaad the aur ghar bhī sab ābād the
kis salīqe se guzar kar raat tūfānī ga.ī
sab ‘alal-ai’lān jis ke mo'tarif aur mo'taqid
ham se tanhā.ī meñ bhī vo baat kab maanī ga.ī
kyā maza detā hai bā’z-auqāt koī jhūTh bhī
jaise ye afvāh dil se ġham kī sultānī ga.ī
aaKHir-e-dam tak na dil se ye pashemani gai
qadr teri hamdam-e-jaani na pahchani gai
hum jo chahenge bahar-surat wahi ab hona hai
ye yaqin aa jae to sari pareshani gai
log bhi sab shad the aur ghar bhi sab aabaad the
kis saliqe se guzar kar raat tufani gai
sab ‘alal-ai’lan jis ke mo'tarif aur mo'taqid
hum se tanhai mein bhi wo baat kab mani gai
kya maza deta hai ba’z-auqat koi jhuTh bhi
jaise ye afwah dil se gham ki sultani gai
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 36)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.