aaKHir-e-shab jo fazaon mein chhiDa hota hai
āḳhir-e-shab jo fazāoñ meñ chhiḌā hotā hai
vo bhī kyā naġhma-e-be-sāz-o-sadā hotā hai
ham tirī bazm se uTThe to magar yuuñ uTThe
jis tarah koī ḳhud apne se judā hotā hai
kyā 'ajab shahr hai ye shahr-e-shanāsā.ī bhī
jo bhī chehra nazar aatā hai nayā hotā hai
tere hāthoñ kī mahak aatī hai un se aksar
jin kitāboñ pe mirā naam likhā hotā hai
vaqt kī dhuup meñ huuñ dasht-navard-e-hālāt
apnā saaya bhī jahāñ qad se baḌā hotā hai
mere dāman pe jise kahte haiñ sab dil kā lahū
un ke hāthoñ meñ vahī rang-e-hinā hotā hai
phir bahār aa.ī tirī yaad kā mausam aaya
phir mire dil kā har ik zaḳhm harā hotā hai
merī ḳhātir bhī zarā logoñ kī jānib dekho
maiñ vo katba huuñ jo chehroñ pe likhā hotā hai
'badr' yuuñ dil meñ hai ab zaḳhm-e-tamannā kī bahār
shāḳh meñ jaise koī phuul khilā hotā hai
aaKHir-e-shab jo fazaon mein chhiDa hota hai
wo bhi kya naghma-e-be-saz-o-sada hota hai
hum teri bazm se uTThe to magar yun uTThe
jis tarah koi KHud apne se juda hota hai
kya 'ajab shahr hai ye shahr-e-shanasai bhi
jo bhi chehra nazar aata hai naya hota hai
tere hathon ki mahak aati hai un se aksar
jin kitabon pe mera nam likha hota hai
waqt ki dhup mein hun dasht-naward-e-haalat
apna saya bhi jahan qad se baDa hota hai
mere daman pe jise kahte hain sab dil ka lahu
un ke hathon mein wahi rang-e-hina hota hai
phir bahaar aai teri yaad ka mausam aaya
phir mere dil ka har ek zaKHm hara hota hai
meri KHatir bhi zara logon ki jaanib dekho
main wo katba hun jo chehron pe likha hota hai
'badr' yun dil mein hai ab zaKHm-e-tamanna ki bahaar
shaKH mein jaise koi phul khila hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.