aaKHir humne taur purana chhoD diya
Interesting Fact
(Safir-e-Urdu, Luton, 2002)
āḳhir ham ne taur purānā chhoḌ diyā
us kī galī meñ ānā-jānā chhoḌ diyā
manzar bhī sab bāñjh rutoñ meñ Duub ga.e
āñkhoñ par bhī pahra biThānā chhoḌ diyā
ḳhatm huī shorīda-sarī lab sil se ga.e
mahfil mahfil hañsnā-hañsānā chhoḌ diyā
nazroñ par khiḌkī ke paT dīvār kiye
darvāzoñ meñ us kā sajānā chhoḌ diyā
jab se huā ehsās diyā hone kā hameñ
tez havā ke sāmne jaanā chhoḌ diyā
Dar thā kahīñ kuchh apne liye bhī maañg na leñ
ham ne duā ko haath uThānā chhoḌ diyā
'arsh' huā ik lafz jo minhā yādoñ se
ham ne ghar ko qufl lagānā chhoḌ diyā
aaKHir hum ne taur purana chhoD diya
us ki gali mein aana-jaana chhoD diya
manzar bhi sab banjh ruton mein Dub gae
aankhon par bhi pahra biThana chhoD diya
KHatm hui shorida-sari lab sil se gae
mahfil mahfil hansna-hansana chhoD diya
nazron par khiDki ke paT diwar kiye
darwazon mein us ka sajaana chhoD diya
jab se hua ehsas diya hone ka hamein
tez hawa ke samne jaana chhoD diya
Dar tha kahin kuchh apne liye bhi mang na len
hum ne dua ko hath uThana chhoD diya
'arsh' hua ek lafz jo minha yaadon se
hum ne ghar ko qufl lagana chhoD diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.