aaKHir ek din sab ko marna hota hai
āḳhir ik din sab ko marnā hotā hai
ya.anī misra.a puurā karnā hotā hai
maiñ dariyā kī gahrā.ī tak jaatā huuñ
maiñ ne kaun sā paar utarnā hotā hai
apne aañsū aap hī ronā hote haiñ
apnā ghaav aap hī bharnā hotā hai
is sahrā ko panchhī pūjne aate haiñ
jis sahrā ke dil meñ jharnā hotā hai
ham to zamīñ par reñgne vaale kiiḌe haiñ
ham ne kab hijrat se Darnā hotā hai
uḌne vaale kaise bhuul ga.e 'āmī'
paañv āḳhir ḳhaak pe dharnā hotā hai
aaKHir ek din sab ko marna hota hai
yani misra pura karna hota hai
main dariya ki gahrai tak jata hun
main ne kaun sa par utarna hota hai
apne aansu aap hi rona hote hain
apna ghaw aap hi bharna hota hai
is sahra ko panchhi pujne aate hain
jis sahra ke dil mein jharna hota hai
hum to zamin par rengne wale kiDe hain
hum ne kab hijrat se Darna hota hai
uDne wale kaise bhul gae 'ami'
panw aaKHir KHak pe dharna hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.