aaKHir is zist ke tufan se guzar jaana hai
āḳhir is ziist ke tūfāñ se guzar jaanā hai
mauj ban kar hameñ us paar utar jaanā hai
toḌ dī maiñ ne to is moḌ pe zanjīr-e-nafas
ai mirī ziist batā tujh ko kidhar jaanā hai
ḳhvāh tauhīn-e-chaman ho ki ho tauqīr-e-chaman
nik.hat-e-gul ko bahar-hāl bikhar jaanā hai
aa.ī hai shām-e-yaqīñ kitne taqāze le kar
ik parinde kī tarah ham ko bhī ghar jaanā hai
maiñ na likkhūñgā kabhī 'āriz-o-lab ke qisse
maiñ ne is qaid ko tauhīn-e-hunar jaanā hai
vo mire paas na aa.e na mire saath chale
jis ko do chaar qadam chal ke Thahar jaanā hai
koī jaada hai na manzil hai nazar meñ 'jagdīsh'
ab isī soch meñ baiThā huuñ kidhar jaanā hai
aaKHir is zist ke tufan se guzar jaana hai
mauj ban kar hamein us par utar jaana hai
toD di main ne to is moD pe zanjir-e-nafas
ai meri zist bata tujh ko kidhar jaana hai
KHwah tauhin-e-chaman ho ki ho tauqir-e-chaman
nikhat-e-gul ko bahar-haal bikhar jaana hai
aai hai sham-e-yaqin kitne taqaze le kar
ek parinde ki tarah hum ko bhi ghar jaana hai
main na likkhunga kabhi 'ariz-o-lab ke qisse
main ne is qaid ko tauhin-e-hunar jaana hai
wo mere pas na aae na mere sath chale
jis ko do chaar qadam chal ke Thahar jaana hai
koi jada hai na manzil hai nazar mein 'jagdish'
ab isi soch mein baiTha hun kidhar jaana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.