aaKHir KHud apne hi lahu mein Dub ke sarf-e-wigha hoge
aaKHir KHud apne hi lahu mein Dub ke sarf-e-wigha hoge
Tauseef Tabassum
MORE BYTauseef Tabassum
āḳhir ḳhud apne hī lahū meñ Duub ke sarf-e-viġhā hoge
qadam qadam par jañg laḌī hai kahāñ kahāñ barpā hoge
haal kā lamha patthar Thahrā yuuñ bhī kahāñ guzartā hai
haath milā kar jaane vaalo dil se kahāñ judā hoge
maujoñ par lahrāte tinko chalo na yuuñ itrā ke chalo
aur zarā ye dariyā utrā tum bhī lab-e-dariyā hoge
socho khoj milā hai kis ko raah badalte tāroñ kā
is vahshat meñ chalte chalte aap sitāra sā hoge
siine par jab harf-e-tamannā dard kī sūrat utregā
ḳhudī aañkh se Tapkoge aur ḳhud hī dast-e-duā hoge
sūkhe peḌoñ kī sab lāsheñ ġharq kaf-e-sailāb meñ haiñ
qaht-e-āb se marte logo bolo ab kyā chāhoge
baat ye hai is baaġh meñ phuul se pattā honā achchhā hai
rañg aur ḳhushbū bāñToge to pahle rizq-e-havā hoge
ai mere nā-gufta shero ye to batāo mere ba.ad
kaun se dil meñ qarār karoge kis ke lab se adā hoge
aaKHir KHud apne hi lahu mein Dub ke sarf-e-wigha hoge
qadam qadam par jang laDi hai kahan kahan barpa hoge
haal ka lamha patthar Thahra yun bhi kahan guzarta hai
hath mila kar jaane walo dil se kahan juda hoge
maujon par lahraate tinko chalo na yun itra ke chalo
aur zara ye dariya utra tum bhi lab-e-dariya hoge
socho khoj mila hai kis ko rah badalte taron ka
is wahshat mein chalte chalte aap sitara sa hoge
sine par jab harf-e-tamanna dard ki surat utrega
KHudi aankh se Tapkoge aur KHud hi dast-e-dua hoge
sukhe peDon ki sab lashen gharq kaf-e-sailab mein hain
qaht-e-ab se marte logo bolo ab kya chahoge
baat ye hai is bagh mein phul se patta hona achchha hai
rang aur KHushbu banToge to pahle rizq-e-hawa hoge
ai mere na-gufta shero ye to batao mere baad
kaun se dil mein qarar karoge kis ke lab se ada hoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.