aaKHir ko rah-e-ishq mein hum sar ke bal gae
āḳhir ko rāh-e-ishq meñ ham sar ke bal ga.e
mushkil meñ haath paañv hamāre nikal ga.e
kis kis ko yaad kar ke koī ro.e ai falak
āñkhoñ ke aage laakh zamāne badal ga.e
ushshāq-e-lucknow kī kashish dekh ai masīh
london ke ḳhūb-rū bhī farañgī-mahal ga.e
apnā surāġh pūchhte phirte haiñ maut se
āfat-zadoñ ke hijr meñ naqshe badal ga.e
badlo radīf aur paḌho sher ai 'munīr'
kyā fā.eda jo us ke qavāfī badal ga.e
aaKHir ko rah-e-ishq mein hum sar ke bal gae
mushkil mein hath panw hamare nikal gae
kis kis ko yaad kar ke koi roe ai falak
aankhon ke aage lakh zamane badal gae
ushshaq-e-lucknow ki kashish dekh ai masih
london ke KHub-ru bhi farangi-mahal gae
apna suragh puchhte phirte hain maut se
aafat-zadon ke hijr mein naqshe badal gae
badlo radif aur paDho sher ai 'munir'
kya faeda jo us ke qawafi badal gae
- Book : Intekhab-e-Kalam Muneer Shikohabadi (Pg. 59)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.