aaKHir udas-udas tabiat bhi kya kare
āḳhir udās-udās tabī.at bhī kyā kare
ab merā dil kisī se mohabbat bhī kyā kare
taptī rahī zamīn kaḌī dhuup meñ paḌī
sūraj kī raushnī kī shikāyat bhī kyā kare
patthar banā ke chhoḌ ga.e jis ko ham-safar
ab us ke saath aur musībat bhī kyā kare
sab jānte haiñ zabt kā zimma hamīñ pe hai
bāġhī nahīñ hai dil to baġhāvat bhī kyā kare
laḌne ko jab kisī se maiñ tayyār hī nahīñ
'parvāz' mujh se koī adāvat bhī kyā kare
aaKHir udas-udas tabiat bhi kya kare
ab mera dil kisi se mohabbat bhi kya kare
tapti rahi zamin kaDi dhup mein paDi
suraj ki raushni ki shikayat bhi kya kare
patthar bana ke chhoD gae jis ko ham-safar
ab us ke sath aur musibat bhi kya kare
sab jaante hain zabt ka zimma hamin pe hai
baghi nahin hai dil to baghawat bhi kya kare
laDne ko jab kisi se main tayyar hi nahin
'parwaz' mujh se koi adawat bhi kya kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.