aaKHir ye roz roz ki wahshat nikal gai
āḳhir ye roz roz kī vahshat nikal ga.ī
ik din hamāre dil se mohabbat nikal ga.ī
duniyā ke tām-jhām meñ uljhā thā is qadar
jo chaar din thī jiine kī mohlat nikal ga.ī
bharte the zaḳhm chhūne se ahl-e-vafā the jab
hāthoñ se un ke ab ye mahārat nikal ga.ī
soz-e-hayāt meñ bhī mohabbat kī ik galī
ehsān hai jo terī badaulat nikal ga.ī
aaKHir ye roz roz ki wahshat nikal gai
ek din hamare dil se mohabbat nikal gai
duniya ke tam-jham mein uljha tha is qadar
jo chaar din thi jine ki mohlat nikal gai
bharte the zaKHm chhune se ahl-e-wafa the jab
hathon se un ke ab ye mahaarat nikal gai
soz-e-hayat mein bhi mohabbat ki ek gali
ehsan hai jo teri badaulat nikal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.