aaKHirash aa gae ayaadat ko un ko taufiq ho gai shayad
aaKHirash aa gae ayaadat ko un ko taufiq ho gai shayad
Nafeesa Sultana Ana
MORE BYNafeesa Sultana Ana
āḳhirash aa ga.e ayādat ko un ko taufīq ho ga.ī shāyad
saḳht bīmār mere hone kī aaj tasdīq ho ga.ī shāyad
maiñ chalī le ke apne āñchal meñ pyaar chāhat vafā ke gul buuTe
TuuTī ummīd phuul murjhā.e dil meñ tafrīq ho ga.ī shāyad
gaddiyāñ ġhāsiboñ ke qabze meñ adliya mujrimoñ kī muTThī meñ
hai siyāsat ke jaal meñ manshūr phir se tausīq ho ga.ī shāyad
sirf mulkoñ hī par nahīñ mauqūf sarhadeñ to diloñ meñ haiñ maujūd
baT ga.e māl-o-zar kahīñ maañ baap us kī tasdīq ho ga.ī shāyad
dar-haqīqat jo mujh meñ zinda hai mere allāh kā karishma hai
jis anā kā vajūd thā hī nahīñ us kī taḳhlīq ho ga.ī shāyad
aaKHirash aa gae ayaadat ko un ko taufiq ho gai shayad
saKHt bimar mere hone ki aaj tasdiq ho gai shayad
main chali le ke apne aanchal mein pyar chahat wafa ke gul buTe
TuTi ummid phul murjhae dil mein tafriq ho gai shayad
gaddiyan ghasibon ke qabze mein adliya mujrimon ki muTThi mein
hai siyasat ke jal mein manshur phir se tausiq ho gai shayad
sirf mulkon hi par nahin mauquf sarhaden to dilon mein hain maujud
baT gae mal-o-zar kahin man bap us ki tasdiq ho gai shayad
dar-haqiqat jo mujh mein zinda hai mere allah ka karishma hai
jis ana ka wajud tha hi nahin us ki taKHliq ho gai shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.