aaKHirash kaun hua nala-kunan aaKHir-e-shab
āḳhirash kaun huā nālā-kunāñ āḳhir-e-shab
chīḳh uThā dard se har pīr-o-javāñ āḳhir-e-shab
phir sajī bazm chhalakne lage mīnā-o-ayāġh
daf.atan jaag uThā dard-e-nihāñ āḳhir-e-shab
shaam hī se jo añdheroñ se rahī garm-e-sitez
bujh ga.ī sham.a vahī de ke dhuāñ āḳhir-e-shab
āsmāñ kaañp uThā aur zamīñ tharrā.ī
qissa-e-ġham jo kiyā ham ne bayāñ āḳhir-e-shab
pahlū-e-dard se ik āh-e-sharar-bār uThī
chashm-e-ḳhūnāb huī shoa.la-fishāñ āḳhir-e-shab
band darvāze pe dī bād-e-sabā ne dastak
tere aane kā huā dil ko gumāñ āḳhir-e-shab
kulfat-e-hijr kā qissa baḌā tūlānī thā
ham sunāte bhī to suntā vo kahāñ āḳhir-e-shab
mere ham-dam mire dam-sāz mirī jān-e-hayāt
yuuñ mujhe chhoḌ ke jaate ho kahāñ āḳhir-e-shab
jalva-gar kaun huā mere shabistāñ meñ 'niyāz'
jhuum uThā vajd meñ har kaun-o-makāñ āḳhir-e-shab
aaKHirash kaun hua nala-kunan aaKHir-e-shab
chiKH uTha dard se har pir-o-jawan aaKHir-e-shab
phir saji bazm chhalakne lage mina-o-ayagh
dafatan jag uTha dard-e-nihan aaKHir-e-shab
sham hi se jo andheron se rahi garm-e-sitez
bujh gai shama wahi de ke dhuan aaKHir-e-shab
aasman kanp uTha aur zamin tharrai
qissa-e-gham jo kiya hum ne bayan aaKHir-e-shab
pahlu-e-dard se ek aah-e-sharar-bar uThi
chashm-e-KHunab hui shoala-fishan aaKHir-e-shab
band darwaze pe di baad-e-saba ne dastak
tere aane ka hua dil ko guman aaKHir-e-shab
kulfat-e-hijr ka qissa baDa tulani tha
hum sunate bhi to sunta wo kahan aaKHir-e-shab
mere ham-dam mere dam-saz meri jaan-e-hayat
yun mujhe chhoD ke jate ho kahan aaKHir-e-shab
jalwa-gar kaun hua mere shabistan mein 'niyaz'
jhum uTha wajd mein har kaun-o-makan aaKHir-e-shab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.