aaKHirash mar hi gaya yaKH-bastagi sahta hua
āḳhirash mar hī gayā yaḳh-bastagī sahtā huā
vo jo zinda pal mirī muTThī meñ thā jakḌā huā
ab kisī ko dekhnā un ko gavārā hī nahīñ
dekh kar tujh ko zamāne bhar se dil andhā huā
har-bun-e-mū gosh-bar-āvāz hai us ke liye
vo magar ḳhāmosh merī har sadā suntā huā
par salāmat haiñ magar phir bhī vo uḌ saktā nahīñ
ik parinda canvas par kab se hai baiThā huā
vaqt ke saare sitam ham ne sahe mil kar to phir
chāñd mere saath āḳhir kyuuñ nahīñ būḌhā huā
jaan kar apnā hī ghar ab dard rahtā hai yahāñ
dil ko ḳhālī us kī ḳhātir to na thā rakkhā huā
yuuñ musallat zindagī kar dī ga.ī a.asāb par
bojh ye Dhone meñ shal ehsās kā kandhā huā
ho ga.e tahlīl sab manzar chhuā jab aa.ina
khul gayā ye bhed aks-e-ḳhvāb thā phailā huā
aaKHirash mar hi gaya yaKH-bastagi sahta hua
wo jo zinda pal meri muTThi mein tha jakDa hua
ab kisi ko dekhna un ko gawara hi nahin
dekh kar tujh ko zamane bhar se dil andha hua
har-bun-e-mu gosh-bar-awaz hai us ke liye
wo magar KHamosh meri har sada sunta hua
par salamat hain magar phir bhi wo uD sakta nahin
ek parinda canwas par kab se hai baiTha hua
waqt ke sare sitam hum ne sahe mil kar to phir
chand mere sath aaKHir kyun nahin buDha hua
jaan kar apna hi ghar ab dard rahta hai yahan
dil ko KHali us ki KHatir to na tha rakkha hua
yun musallat zindagi kar di gai aasab par
bojh ye Dhone mein shal ehsas ka kandha hua
ho gae tahlil sab manzar chhua jab aaina
khul gaya ye bhed aks-e-KHwab tha phaila hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.