aaKHiri alwidai KHadshe mein
āḳhirī alvidā'ī ḳhadshe meñ
kuchh du'ā.eñ bhī rakhnā baste meñ
ek lamhe meñ hādisa hogā
'umr lag jā.egī sañbhalne meñ
phir havas nāchtī phiregī aur
murda bachche mileñge kachre meñ
un kī tā'bīr mahñgī paḌtī hai
ḳhvāb bikne lage haiñ saste meñ
zaat kī qaid se nahīñ niklī
maiñ akelī thī itne majme meñ
mujh ko jaldī thī ghar pahuñchne kī
rah gayā intizār raste meñ
ek hī e'tibār kaafī thā
phir nahīñ aa.ī us ke dhoke meñ
'shahlā' us ko bahut satā.ūñgī
achchhā lagtā hai mujh ko ġhusse meñ
aaKHiri alwida'i KHadshe mein
kuchh du'aen bhi rakhna baste mein
ek lamhe mein hadisa hoga
'umr lag jaegi sanbhalne mein
phir hawas nachti phiregi aur
murda bachche milenge kachre mein
un ki ta'bir mahngi paDti hai
KHwab bikne lage hain saste mein
zat ki qaid se nahin nikli
main akeli thi itne majme mein
mujh ko jaldi thi ghar pahunchne ki
rah gaya intizar raste mein
ek hi e'tibar kafi tha
phir nahin aai us ke dhoke mein
'shahla' us ko bahut sataungi
achchha lagta hai mujh ko ghusse mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.