aaKHiri bar dekhna hai use
āḳhirī baar dekhnā hai use
phir lagātār dekhnā hai use
kuchh na kuchh to davā batā.egā
ho ke bīmār dekhnā hai use
vaj.h-e-dīdār dekhnā hai mujhe
tarz-e-dīdār dekhnā hai use
saikḌoñ she'r us pe kahne haiñ
saikḌoñ baar dekhnā hai use
vo mirā haal dekh kar samjhā
kitnā dushvār dekhnā hai use
aaKHiri bar dekhna hai use
phir lagatar dekhna hai use
kuchh na kuchh to dawa bataega
ho ke bimar dekhna hai use
wajh-e-didar dekhna hai mujhe
tarz-e-didar dekhna hai use
saikDon she'r us pe kahne hain
saikDon bar dekhna hai use
wo mera haal dekh kar samjha
kitna dushwar dekhna hai use
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 108)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.