aaKHiri dukh hai zindagi ka dukh
āḳhirī dukh hai zindagī kā dukh
zindagī ya.anī bebasī kā dukh
ham na ro.eñ to aur ro.e kaun
shāḳh se TuuTī har kalī kā dukh
aur bahut dukh haiñ zindagī meñ dost
tū nahīñ merī zindagī kā dukh
maiñ kisī pal sā dekhtā huuñ mahz
ek bahtī huī nadī kā dukh
kuchh charāġhoñ ne baañT rakhā hai
duniyā keī saarī tīrgī kā dukh
ek muddat se ro nahīñ paayā
aaj ro.ūñgā maiñ sabhī kā dukh
dekhiye maiñ jo huuñ bahut ḳhush huuñ
mujh ko mālūm hai ḳhushī kā dukh
maiñ idhar taḌpūñ vo udhar taḌpe
yahī hai 'vīr' dil-lagī kā dukh
aaKHiri dukh hai zindagi ka dukh
zindagi yani bebasi ka dukh
hum na roen to aur roe kaun
shaKH se TuTi har kali ka dukh
aur bahut dukh hain zindagi mein dost
tu nahin meri zindagi ka dukh
main kisi pal sa dekhta hun mahz
ek bahti hui nadi ka dukh
kuchh charaghon ne banT rakha hai
duniya kei sari tirgi ka dukh
ek muddat se ro nahin paya
aaj rounga main sabhi ka dukh
dekhiye main jo hun bahut KHush hun
mujh ko malum hai KHushi ka dukh
main idhar taDpun wo udhar taDpe
yahi hai 'wir' dil-lagi ka dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.