aaKHiri KHat mujhe mila tera
āḳhirī ḳhat mujhe milā terā
aah likh kar na dil dukhā terā
itnī ujlat meñ izn-e-ruḳhsat lī
haa.e allāh kare burā terā
ba.ad tere to maiñ huā barbād
ab tajassus hai kyā huā terā
raat kaaTī to phir sapīda-dam
dard kuchh aur thā sivā terā
koī hasrat hī ab nahīñ jī meñ
nīm-bismil ko shauq kyā terā
aaKHiri KHat mujhe mila tera
aah likh kar na dil dukha tera
itni ujlat mein izn-e-ruKHsat li
hae allah kare bura tera
baad tere to main hua barbaad
ab tajassus hai kya hua tera
raat kaTi to phir sapida-dam
dard kuchh aur tha siwa tera
koi hasrat hi ab nahin ji mein
nim-bismil ko shauq kya tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.